Monday, 26 December 2016

yaadein

jab aye
in panno ko saajate gaye
kiso se baato se
or kai jazzbato se
fir ek pal esa aya
manzil ki rha ne
ye bichadna bhi dikhaya
tum bhi chale gaye
jo laaye the
wo yaade de gaye

fir bhi mene
kai daffa yaddo ko sawara
panne palte or is waqt ko sawara
par ye waqt ki dhul esi
isko na tha rukna gawara
ek adhyaye band hi hua tha
or fir koi naya panna khul gaya
wohi silsila yaado ka
par ek naya chera mill gaya
ese thodi dhundli pheli yaad bhi hui
jab yaado ke likhne ki
firse koi shuruat hui
or panno ki is tarah adhi si kitab hui
baki he zindagi
waqt ki kalam bhi he sath
bs isi tarah yaadein sajti rhe
kabhi tum mujhe yaad karna
kabhi me bhi in panno ko palt lunga
or fir kahi puri ho jayegi ye kitab
If you have lived with, the moment, all spoken, all fun, and fight you just remember someone by memory he created
aao to le ana
jao to de jana
yaadein

No comments:

Post a Comment