Monday, 26 December 2016

waqt badalta bhi he waqt tehrta bhi he
ye waqt ane wali subha se savarta bhi he
ye waqt us sham me nikharta bhi he
jiske jane par chand ki roshni me chamkta bhi he
na ruk jana us waqt me ye yaado me to basta hi he
na lagana koi umid us waqt se jo kisi ke pass tehrta nhi he
aj jo jiya ye waqt kal milta nahi he
aj beta jo waqt lot-ta nhi he

ye sikha raha he sab ,ye badal rha he sab
par man he jo yaado me kho jata he ab
aage baki he bhot ,yaado ki kitab sajani he
is waqt se kuch pal churake in paano me sajana he
yaadein yad to ayengi yaade us kitab me savar jayegi
jeele ye zindagi ye kitab kl tera ziwan khelayegi


No automatic alt text available.

No comments:

Post a Comment