Monday, 26 December 2016

Dhree dhree angan me utarta andhera
Deepo ke liye hota jab sawera
wo sham ati,
dhalte suraj ki gulabi si
charo or asman me chaati
hasi thitholiyo ka jhund banta
ghar se bhar me ghumne ko nikalta
roz ki tarha hoti kai baate
apne bado or dosto ke sang hoti baate
kuch palo ki reit jese tham si jati
suraj ki lali bhi taaro ke sang khelti nazar ati
pal yu itna hasin hota
chand or suraj bhi asma me hota
koi thaka hua us sham me milta
koi apna us sham me milta
sare din ki baate hoti
namaskar se shuruwat hoti
badal gaye ye din
bade pyare the jo din
ek wo sham thi
luka chuppi wali
criket wali
tahelne wali
bado ke sang wali
wo jo sham thi
rangin wo sham thi
sapno ki udan kha lekar chali he
manzil ki raah me shero ki ye jo gali he
yaah udne ko aj bhi khula asma he
par na mili mujhe wo sham he
chaaya liye dhoop yaha he
naya naya hai roop yaha
yahaa sab kuch he maa phir bhi
Lage tere bin mujhko akela
na wo baate he
na wo apne he
aj me dekhta us sham ko hu
par lagte khoye se mere wo sapne
matlab ki he ye duniya
yah na wo apne he
kabhi milunga us sham me
shochta hu is sham me
fir se shayd wo sham hogi
apno bado or dosto ke sang wo sham hogi
zindagi ke safar me phir se wo sham hogi
FEW LINES FROM RANG DE BASANTI SONG
AJA SHAM HUI


 No automatic alt text available.

No comments:

Post a Comment