Saturday, 31 December 2016

undekhi tasvir

Kwabo me ek undekhi tasvir bani
Ek raat us duniya jab mujhe wo mili
wo pal, sunsan sarpat thi gali
sath mere us rahh phir wo chali
bin bole kadam-kadam sath chalti rhi
phir ek pal ko ruk rah kinare ther gayi
usne phir kandhe par mere sir moda
kuch pal ko khamoshi se ruk
ankho hi ankho se sab bola
Jhoke hawa ke dhun kano me gane lage
wo sath mere, hatho se hath milaye
pero ko hum thirkane lage
taro ne tim tima kar khub tali bajai
or yuhi raat beet ayi

Ek pal ko sach man ye kahani banai
sapno me undekhi tasvir thi wo
anjan duniya me wo anjan ban jab milne ayi


Friday, 30 December 2016

ahbaab

na ye chehre ka he na ye zuban ka he
na ye hum-umr se he na meyaar ki bediyo se he
wo jo bhi dill me basera krta ahbaab he fir kahi dhur he ya kabhi wo pass he
sa.i-e-ahbaab ka jor kuch itna he
ki bs jeene ko dill fir dhadkta he
wo jo hardum mere sath he

sa.i-e-ahbaab सई-ए-अहबाब : efforts of friends
meyaar: standard
ahbaab : friend

ek mukhota hum ood kr
matlabi rishtà hum mustaar krte he 
hasta hua wo chehra hoga
mann me kuch chupa, tarazu se tol, bolenge
hanji, bemaniya he hum me
ki samaj si esi kadi jodenge
hum aap me ghul mil kr
ek anjan sedi ko daudenge
anjane agar kuch zajbati hue kabhi 
dast-e-tagaaful samjh mila lena
ek mukhota hum ood kr aap se milenge waqt e mizaz fir jo likha hoga agar
is mukhote ke paar chehre se bhi mil jaoge par ode ke mukhote hum pehli dafa milnenge
mustaar : borrowed
dast-e-taGaafulदस्त-ए-तग़ाफ़ुल : hand of negligence

Tuesday, 27 December 2016

kese roku in khayalo ko
is duniya ka bhi darr nhi
kali chandni raat he
par in khayalo me jaga soya nhi
Esi hui in harf-o se dosti
Apne ehsaso ko inse jatane laga
Ye khamoshi bhi ab to sath bethe sunne lagi
dastak khayalo ki kese fir roke koi
yuhi waqt guzrta rha, or
hawao ke dhande jhoke paigam le aye
bhari ankho ko aram dene
kano me koi lori khete hue
fir me apnii palke jhapka gya
adhure panno ke pass, thandi hawa me so gya



No automatic alt text available.
saalo baad mile bhi yaad kar lete he
Or aaj-kal ke bane bhi bhul jate he
yaado me to sab hi he mere
par unhe taza karne wapas sirf dost ate he

Khwab

ye raat jese rangin galiyo se nikal jati he
or me yuhi yaad si ek tavir banata hu
Me na us kal - kal karti bheti sham ka hu
me na us che-chati chidyo ki subha ka hu
Kabhi baato me lambi guzar jati he
kabhi palko ke jhapkne se badal jati he
feeki chandni me guzri wo raat meri, khamosh us raat ka hu
jese jaage ho koi or duniya me, us din ki tasveer banata hu

Me sapna hu jise dekh tum soye muskuraye ho
me wo sapna hu jise yaad kar tum subha muskuraoge

Image may contain: 1 person, smiling, text

Patto ki khani

Patte girte patte ate
Shajar ki daali he sajate
Rituo ko apne rang se dikhate
Taap ko pi, chavv de jate

darakht tum se hara dikhta
jese usko kapda odate
uske liye khana banate
Patte girte patte ate
puche koi to ful ki baate
puche koi to faal ki baate
par sara jiwan pedo ke sath
patte girte patte ate
ho koi mausam
patte girte patte ate

Image may contain: outdoor
Ankhe chadaye rang he
khubsurti dekhi nhi
chehro ke rang batati he
mann ka rang dekha nhi
kaise koi acha lagta he
kaise koi bura lagta he
mukhote he chehro pe
chera to koi aina nhi
Ye bas ankho ka dhoka he
mann se jabtak dekha nhi
chamakta mirage, pani lage
raigistann me na pyas bhuje
rakh tu is mann ko saff
or rango se duniya ko saja
hoga sab khubsurat
ek baar mann me jhak


No automatic alt text available.
ful bhi muskurate he mali ko dekh ke
warna log ate he,tarif kr tod le jate he
aksar log wo chamk ko dekhne ate he
saadgi bhi kabhi koi dekh kr ruk jata hoga
dosto or kuch apno ke siva wo baki bhid he
jiska mann ek waqt ke baad bhar jata he
ye sapno ki uchai kesi
e asman tune ye duniya bnai kesi
na me ek badal ther pata
or nayi uchai ko fir daud jata
tere hi taro se dua mang
tujko jo fir jeet ata
har raat esa hi sapna, neend udata
or subha ke suraj ko
sham tak na mill pata

tu na dekha fizul itne sapne
ye raate ab uljhi lagti he
bs ek subha ki kiran esi nikle
or zindagi puri lagti ho
mausam thanda he badlo ke pehro me
suraj chupa he badlo ke dehro me
chandni nhi he
bejli ki chamak he
mausam ke barasne se ayi jo
mitti ki mehak he

asma pe he koi duha jese
uskii ankho me chubkar
baras rha
awaz to garazne ki he
par badra chamak rha
dhandi hawa
or badlo ko dekh
moor ka mann
nachne ko taras rha
bundo ko dhara se milane
ab ye badal garaj rha
pehli barrish me bheeg jau
mera mann uchal rha
garmi se rahat pane
ab sara ambar machal rha

father's day

#happy #Father's day
you are simple
you are bold
my dear father not so old
it's your fingers
i always hold
it's your shoulder
where laury you told
the awaken night
the work full day
but you give time and
we always play
for my smile
for my wish
all come by
before i had told
it's your care
the hand you hold
it's your teach
the lesson you told
the tree of my faimly
the root of my faimly
i am your branch
for what you had old
it's your water
all the green i hold
if there is God
i believe
it's you
it's mom
on earth
the bless i have
all

kalam-e-nau

kalam likh deti hai
kalam oda bhi deti hai
dil ke jazbat ko
cherhe kai alfaz ko
man ki bato ko utar do
kavita me isko dhal do
aksharo ki kuch hera phiri
har pankti ko sawar do
do akshar tum bhi pado
do bol tum bhi suno
zamana naya he
islye ise Facebook pe suno
pano ki sazavt thi kabhi kavitaye
par kal ki wo bat thi
aj inhe digital ki duniya me pado
likes ke liye nhi
mann ki baat khne ke liye
dhur jo hue sab unse khne ke liye
kuch 'share' karne ke liye
Life wahi hai par
ab ye social life badal gayi
ghadi ke kate wahi
par inki raftar jo badal gayi
ab sab milte kha wese
ab wo sab bate hoti kha wese
jagha badal gayi
kalam badal gayi
par kya karu fitrat wahi hai
kalam chalane ki chal wahi hai
aj bhi wo sham he
aj bhi wo raat he
dill me mere dhero jazbat he
ye mere alfaz he

No automatic alt text available.

Waterpot

#summer #water #pyas #animal #waterpot
pyasi hu me pani rakh jana
garmi ki mari hu pani rakh jana
kisi matki me
koi chat pe
kisi bartan me
mere liye pani rakh jana

hu me kisi mitti ki bani
kudrat ki koi khubsurti
mere ziwaan ko koi
dua de jana
bs thoda pani de jana
me roj aungi wahi
pani tum rakh jana
che chati awaz sun
mera shukriyada sun jana
me hu wo chidiya
sathi bhi he mere kai
wo kuta wo gaay
unke liye bhi kuch kar jana
kisi jagha rozz bs pani de jana
jal hi jewaan he
esi yuhi na bhana
kisi pyase ki
pyas jarur mitana
mere liye pani de jana
meri kavita nhi
is maksad ko pad jana
kisi ki pyass jarur bujhana
All unspoken fortunate given by,their smile is also a bless for my effort
bheeg jau un duao me
jinki aawaz nhi
de jati he koi sukun
dill se nikalti koi muskuraht he


No automatic alt text available.

sher ki sham

roj ki tarah na thi ye sham
jo sheher ki hoti he sham
man halka karne ke liye
chaat pe nikalta insan
thoda tehal ke thoda bol ke
anjan chehro me anjan sa dikhta insan

ye sham yu shuhani hui
mausam ki bemani hui
garmi me badlo ki manmani hui
hawao ka sath tha
mausam khush mizaz tha
tab wo purani raat ai
aj ye raat suhani lag rhi
andherre me bhi chandani chamak rhi
itne pyare ye hawa ke jhoke
bade dino bad
shehar ki raat wesi suhani lag rhi
jo raat kabhi har bar ati
wo gauw ki sham ke bad jo ati
aj loti wo raat he
jab andhere me dubi
shehar ki ye raat he
aj fir jab sab milke wo
hasi titoliya kar rhe
apne kamro se bhar nikal
sadko pe tehal rhe
he na wo chabutra par
fir bhi koi hari bhari
park me tehal rhe
ghar ke apne bado
or pados walo se
fursat ki bate kar rhe
he shehar ki dhul ye par
in jhoko se shuhani lag rhi
wo virtual duniya se ab
ye raat suhani lag rhi
kahi dhur me nikal gaya
aam ke bhago me
koyal ki awaaz bhul gaya
na milti wo otli na wo chabutra
bethe sath milke jha
khele wo khel waha
raat ho ya shaam
bitaye sabke sang pal waha
ye sheher ki nahi
ab har jagha ki jubani he
bhagti zindagi he
aas wo purane dino ki he
lota tha in kuch palo se waha
baat ye mere mann ki he

sham

ye sham yu dhal rhi jese ghunghat utar rha
jiski lali yu bikhar rhi, jese amsa me sindoor chad rha
adbhut he ye drashy jha
chand apni chandni bhi bikher rha
or dhalta suraj kal fir milne ki ke rha
khte he akash dharti se nhi mil pata
fir bhi har din yuhi
dharti me suraj samata
samandar ke aant se dhalta nazar ata
asma pe chadta chand
akash me taro ke sang timtimata
har din is sham ko
ye adbhut drashy nazar ata
samandar ho ya talab
inki parchai me harkoi jagmagata
chand ki chandni ho ya suraj ki lalim
har lehro se takrati
bs uhi anant dhristi tak chalte jati
bikhri kirno se jag ko ye jagmagati
gagan ke he ye ujyare
dhara ke he ye dulare
jab ek nikalta us nabh ki ungli thame
to dusra sota dharti ki gaud me
me betha us kinare
me bhetha us lamhe ko savare
dhal rha suraj
nikal rha chand
milte he ye dono
jab ati wo sham

No automatic alt text available.

Monday, 26 December 2016

kuhu koyal ki

meethe teri ye kuhu
bhaati sabko ye kuhu
bethi us aam ki dali pe
nikli teri ye kuhu
paak jate ye aam sare
jo koyal bole sur sare
apne sur se koi jaadu bole
ye aamo me rass ghole
jaage jese moor se
banke faal ye dalo pe
aye aam jo baagho me
in garmi ki shamo me
dali par bethe koyal bole
faalo ke raja me koi guun ghole
kuhu kuhu ye koyal bole
ab na sun pata me
mu se nikli teri kuhu
ab na kha pata me
dalo pe pake methe aam wo
nikal gaya wo jamana
jha baagho se
kache aam ko taod ke khana
na ati ab wo teri kuhu
na bhaati amras ki mithas
ab rhi na in rutiuo me wo khas
paak jate mausam se phle ye aam
dhundti nighae par mil na pati wo dali
koyal ki boli jha se ati
mann to mera ab bhi lalchata
par koyal tujhe me dhund na pata
teri wo boli kuhu kuhu kar
aam raas jo ghole
dali par bethe koyal bole
Dhree dhree angan me utarta andhera
Deepo ke liye hota jab sawera
wo sham ati,
dhalte suraj ki gulabi si
charo or asman me chaati
hasi thitholiyo ka jhund banta
ghar se bhar me ghumne ko nikalta
roz ki tarha hoti kai baate
apne bado or dosto ke sang hoti baate
kuch palo ki reit jese tham si jati
suraj ki lali bhi taaro ke sang khelti nazar ati
pal yu itna hasin hota
chand or suraj bhi asma me hota
koi thaka hua us sham me milta
koi apna us sham me milta
sare din ki baate hoti
namaskar se shuruwat hoti
badal gaye ye din
bade pyare the jo din
ek wo sham thi
luka chuppi wali
criket wali
tahelne wali
bado ke sang wali
wo jo sham thi
rangin wo sham thi
sapno ki udan kha lekar chali he
manzil ki raah me shero ki ye jo gali he
yaah udne ko aj bhi khula asma he
par na mili mujhe wo sham he
chaaya liye dhoop yaha he
naya naya hai roop yaha
yahaa sab kuch he maa phir bhi
Lage tere bin mujhko akela
na wo baate he
na wo apne he
aj me dekhta us sham ko hu
par lagte khoye se mere wo sapne
matlab ki he ye duniya
yah na wo apne he
kabhi milunga us sham me
shochta hu is sham me
fir se shayd wo sham hogi
apno bado or dosto ke sang wo sham hogi
zindagi ke safar me phir se wo sham hogi
FEW LINES FROM RANG DE BASANTI SONG
AJA SHAM HUI


 No automatic alt text available.

'I'

'I' is a cage
I was in a cage
Don't know why I stayed
the place where nothing that 'I' get
for a happiness that is ephemeral
All those regret and sorrow that 'I' atoned

I learn to fly
Over-top from the 'I'
Eden is what all i look
mislaying the euphoria of childhood
when I was not 'I'
Want be the same puerile
free from aftermath

truth is not the past
future i can't forecast
have to leave the shore
in the wind and wave of time
my boat to paddle
for the voyage of life
with swing of ups and down

for to be the I
with same infancy
long before was I
with the unripe soul
long before when born
Same purity I will hold

the maturity over time
and immaturity as I was born
from the weave of this two
and the weaver of time
Not the gewgaw as when 'I'
but as a emanating I


No automatic alt text available.

khamoshiyan

khamoshiyan jo kabhi juba se khti nhi
ek aahat he jo hamseha sunai deti wahi
sun rha he mera man ,alfaz jo gungunae koi
bundo ka wo saaz he jinki he na koi juba
he koi dhun ,sun rha hu me ye khamoshiyan
khamoshi se baat kar rhi he ye chandani
sun rahe wo tim timate tare
jese ga rha he koi ye khamoshiya
khamosh he wo asma jo sun rha ye bin boli juban
waqt bhi tahera sa lagne laga
jo nadiya ke pani ki tarah behta rha
koi ehsas he ,Jane kaise alfaz he
ga rha he koi ,sun rha jo
teri meri ye khamoshiyan
chanda mama aja
in taro ke sath koi sapno ki ser karaja
nindiya ko in palko pe saja ja
ek nayi duiya me naye kirdaro ko jaga ja
wo sapno ke mehal dekha ja
ek jangal ek bhalu ek sher
koi pari ya koi rajkumar
kuch ese kirdaro se ye duniya saja ja
chandni raato ki khamoshiyo me mujhko sula ja
ek nayi kahani ko sapno ka jeewan dila ja
koi darawna sa koi bhola koi natghat
yahi sab jo sune he khani me
aj mujhe unko meri is duniya se mila ja
o neendiya raani ho koi tooth fairy ya koi jadugarni
bs mujhko un sapno ki ser kara ja
jo sapne he wahi sach hote he
mere kal ko in sapno me dekha ja
ab der na kar ajà
wo nani ki khani wo maa ki lori
wo palki ka jula wo papa ka kandha
mujhko ek pyari si neend me sula ja
o neendiya meri palko pe aja


No automatic alt text available.

maa

mamta ki gherai to smandar ko gheri lagti hai,
tere hatho ki narmai to phulo ko komal lagti hai,
aachal me teri mere sare gum ko dhur rakhti hai
teri jaisi maa kismat walo ko milti hai

teri parchai bhi abto khuda ko achi lagti hai
is man mandir ko teri murrat khuda si lagti hai
pujti hai duniya tere nam ko,ye jo tere kadmo ko jhukti hai
ek maa tu hi hai jo mujhko samajhti hai
sabse jyda pyar tu mujhse karti hai
mere chere ki hasi teri ankho me basti hai
ye to ek maa hi jane
jo apni santan ke liye duniya se ladti hai
mere har sapne ki buniyad tere ashirwado se banti hai
teri ek muskurahat in ankho ko sabse pyari lagti hai
waqt badalta bhi he waqt tehrta bhi he
ye waqt ane wali subha se savarta bhi he
ye waqt us sham me nikharta bhi he
jiske jane par chand ki roshni me chamkta bhi he
na ruk jana us waqt me ye yaado me to basta hi he
na lagana koi umid us waqt se jo kisi ke pass tehrta nhi he
aj jo jiya ye waqt kal milta nahi he
aj beta jo waqt lot-ta nhi he

ye sikha raha he sab ,ye badal rha he sab
par man he jo yaado me kho jata he ab
aage baki he bhot ,yaado ki kitab sajani he
is waqt se kuch pal churake in paano me sajana he
yaadein yad to ayengi yaade us kitab me savar jayegi
jeele ye zindagi ye kitab kl tera ziwan khelayegi


No automatic alt text available.
khubsurat, he tera wo har rup
jeewan he jiska swarup
tu bhaag me mehkti he
par guldaste me sukhjati he

kudrat tu kese banati he
kese ye jena sikhati he
mitti ke hum bane
mitti ko banne lejati he

is jahan ko sundar banati he
jadu jese ho koi
jeewan ke rang chidkati he
fir uun rango ko
apni kala se
jeewan ki taswir de jati he

paheli ye duniya ki
sabko isme ghumati he
nannha sa ho ya
kichad me ho
ye jeewan jo,
apne niyam tu odati he,
kabhi komalta se
to kabhi kathorta se
tu bhelati he
tu siklati he
par akhir kamal khilati he

tu ek sach he
lakh koshish ye duniya kare
par tujhsa nhi jadu chala pati he
fir bhi teri hod me khud ko
har rozz jhut banati he

tujhe har jagha pata hu
tujhme sukun pata hu
teri ye zindagi
har pal tujhe dekh
muskura jata hu
Do panno ko dekh kar kitab samjh nhi ati
Apne pero ki pakteli kisi or ke juto me nhi ati
janab meri fitrat he, kuch achai bhi, kuch burai bhi
ye yuhi sab ko nazar nhi ati
jo mann ko jhak gaya mere
use meri hasli phechan samjh ati

yaadein

jab aye
in panno ko saajate gaye
kiso se baato se
or kai jazzbato se
fir ek pal esa aya
manzil ki rha ne
ye bichadna bhi dikhaya
tum bhi chale gaye
jo laaye the
wo yaade de gaye

fir bhi mene
kai daffa yaddo ko sawara
panne palte or is waqt ko sawara
par ye waqt ki dhul esi
isko na tha rukna gawara
ek adhyaye band hi hua tha
or fir koi naya panna khul gaya
wohi silsila yaado ka
par ek naya chera mill gaya
ese thodi dhundli pheli yaad bhi hui
jab yaado ke likhne ki
firse koi shuruat hui
or panno ki is tarah adhi si kitab hui
baki he zindagi
waqt ki kalam bhi he sath
bs isi tarah yaadein sajti rhe
kabhi tum mujhe yaad karna
kabhi me bhi in panno ko palt lunga
or fir kahi puri ho jayegi ye kitab
If you have lived with, the moment, all spoken, all fun, and fight you just remember someone by memory he created
aao to le ana
jao to de jana
yaadein

Bigul waqt ka

bigul waqt ka esa baaj rha
kaap rha he sab kuch
fir bhi age badne ko mann kr rha
taap sharir ka mashal sa lag rha
dhundhli he age ki sadak
fir bhi age badne ko mann kr rha

shor me bhi ek sanata lag rha
kya koi tufan se mulakat hogi
fir bhi age badne ko mann kr rha
ab ye kadam badte ja rhe
daag-maag hi sahi
fir bhi age badne ko mann kr rha
rasto pe kate mill rhe
pakdandi hi sahi
fir bhi age badne ko mann kr rha
yuh raste fir khulte ja rhe
manzil abhi nhi dekhi
fir bhi age badne ko mann kr rha
wo manzil kaise hogi
in rasto ne bata diya
ek alag hi anubhuti he
jha se chala tha me kahi
  badne ko mann kr rha 
No automatic alt text available.

Bajirao_Mastani

mahobat ke asma me taro ki tutne ki kahani thi
jinki tamanna kahi durr ek hone ki thi
jab asma me duba suraj tha
chand bhi tabhi wah khila tha
jab rang jo us asma ka badla tha
mazhab or rishto ki diware tood
uske pyar ki, wo deewani
uske intezar me, wo mastani
Jise jag ne na maani
par milne ki usne bhi thaani
mashoor hui uske ishq ki khani thi
esi wo mastani ek deewani thi

Monarch

there is beauty of being mature
there is beauty of being immature
Though both are never achieved to a fullest
but there is a phase in between them
It appear beautiful as i closely watch
It appear beautiful as i slowly transform
The shades of mine were composing
A youth in me was shaping
In the crowd suddenly, only presence of mine, i was sensing
For some moment i was frighten
Accepting the change and who i am
But metamorphosis was incredible
up-til now it was like egg grows to larva
And then pupa started forming
with a new born
to become a butterfly
in the midst of #monarch
to begin a fly


ahbaab se kuch mile the ek waqt pe
aaj bhi wo waqt yaad karte he
aab to ek mukhota sa ode sab milte he, dikhte he
na koi dil-e-ahbaab ka
koi ahbaab ho hamara fir, ishtehar le firte he
Raato ko sapno ki kalam chalti he
kisi se aksar milne ki jo kahani banti he
kabhi wo hakikat hogi kya pata
ki tilasmi kalam subha se phle chalti he
Na kinara mera na pani
beh jata hu jha behta he pani
or guzarta koi kinare se, koi pal samete
fir beh jata hu jo behta he pani

koi jadu wali kalam

Ek jaadu bhari kalam ho
jese sapno ko likhta hu
wesi zindagi ki kahani ho
use fir apne hatho se me likhta hu
ek jaadu bhari kalam ho
Zindagi-e-khubsurat 
do-peher labzo ke phle ki he
do-peher labzo ke baad ki he
zara iske kadamo ko sahi badana
ki har harfe ka bhi ek mukam he
Tu haste palo ki zindagi he
baki to teri uthal-puthal samalne me guzarr jati he
koi tujhe kya gum se tarazu me tolega 
tu har ej choti si hasi me zindagi ka wazan rakhti he
Jugnu taro se bhi dost hote he

bin bole jo jagmagate rhte he

dhur hi sahi, par har raat sath hote he

Thursday, 22 December 2016

ek chidya

"esi khubsurat he wo... use chere se na dekho,
esi samjhdar he wo ...use uski nadaniyo se na dekho,
na darr he ..na koi shikang mathe pe,
mast mola he wo ...use khuli hawa sa dekho,
ek phul sa dill he kahi... uske dosto se pucho,
wo ek ajad panchi he... use udta hua dekho".






 https://soulsassymama.files.wordpress.com/2014/05/flying-bird-woman.jpg

Wednesday, 21 December 2016

ek safar wo raat ka

pighli raat ke afsano ko
madhosh hue safar chali
do nighae takrati hui
banne ko koi kahani, badi
sharik he wo sare tare bhi
aapbeeti jo ke rhe
ratjage wo dekh rhe
do humsafar
ek dusre me he khoye kahi
or ye chand yuh
madhoshi ka nasha bada rha
kaiynat me daso disha ye sandesha
or fella rha
subha se phle roshan he
koi daag o chirag agar
wo bhi suraj ko chupne ka keh rha
umeed he ki is khani me or bhi varaq ho
kitab adhuri he, kal phir likhne ko bol rha



daaġh o charāġh: spot of light
varaq वरक़ : leaf of a book/ paper/pag