Sunday, 28 August 2016

Ankho se hui wo mulakat

un palko se hum baate kr bethe jinse abhi nazre mili thi
kajal se saji moti ki chamk thi
wo ajnabee si, dill me ja basi
phli mulakat sa
darr tha ki phir shyd na mile
par wo ankh micholi shuru hogai
wo bhi un nighao se hume dekhne lagi
phir isharo ki baate krne lage
wo dhur the jo, laga nazdik ane lage
chilman ki tarah yuh gustakh
is dill ko dhadkane lage
is luka chupi me kahi
phir ek takrar hui
sab tham sa gya ho kuch pal
or ankho ki anko me gheri baat hui

phir raat bhar hame neend na ayi
wo mulakat ki jhalk
khuli ankho me khwab si samai
balkani me bethe bethe
un barsti bundo ko bhul gye
sari raat phir bs unki yaad ayi

No comments:

Post a Comment