Monday, 19 September 2016

Ek duniya

gubar e dahr se dhur ek kinara he
mann ke samandar se nikalti kai lehre milti he wha
us kinare khamoshi bhi he shor bhi he
wo baate he jo aksar me karna chata hu har kawab ki nav terti he wha
koi ajnabee se milne nikalta hu
kisiki nighao me khoye
koi julfo ke niche sota hu
sari galtiya wha maff hoti he
wo sari masti me wha karta hu
kuch dost bhi he jha sang unke apni duniya ghumta hu
kisi ped ke niche to koi chhat ke kone sham ki chuski leta hu
lehro se pero ko takrate sath khamoshi se wo shor sunta hu
un gano ko gungunate kai dhun pe per bhi thirkata hu
jha subha raat se milti nhi
har rozz ek khani likhta hu
wo sare sapne yha likhta hu


kabhi koi us dahr se is kinare aye
me rozz intezar karta hu
ye duniya bhi koi meri dekhe
andar jisko chupa ke rakhta hu


No comments:

Post a Comment