Sunday, 12 August 2018

Chidya ke pankh the

Chidya ke pankh the
Har chidya ke pankh the
Wo bhi us angan se dekhti thi asama ko
Ghar ke angan se us asma ko
Use bhi udna sikhaya
Use bhi chechana sikhaya
Wo pankho ko felane lagi
Angan ki deeware tab unhe choti lagi
Dehliz se bhar janne ko usne zid kari
Jungle tha ye sansar
Fikar wali soch mandrane lagi
Use bhi udna sikhaya tha
Pankho ki azmaish wo mangne lagi
Papa ki ladli sapne bunne lagi
Dehliz se bahar udne lagi
Jungle tha ye sansar
Bhediyo ki awaz gunzne lagi
Pankho ki azmaish wo karne lagi
Mausam ki rut badalne lagi
Ek shehr ki sima uske pankho ko unhe choti lagi
Use bhi udna sikhaya tha
Angan se asma firse wo dekhne lagi
Wo ab apni khuli ankho se sapne bunn rhi thi
Ek bar fir zid ab usne kari
Udna use sikhaya tha
Wo ab apne pankho se bhi ye saval puchne lagi

Use udna kyo sikhaya?

Jungle tha ye sansar
Wohi bhediyo ki gunj ab or joro se gunjne lagi
Fikar fir madrane lagi
Ek din fir use bula liya us angan
Jis angan se usko asma dikhaya tha
Jis angan se usko pankho ka matlb samjhaya tha
Ek din fir use bula liya us angan
Us angan uske pankho ko jala diya

Chidya ke pankh the, asma khula
Fir uske hi pankho ko kyo kat diya
Usko bhi udna sikhaya tha
Fir usko hi kyo pinjare me rhne ko bula liya

Wednesday, 8 August 2018

Ye asma bhi badlo ki ridaa odle,
Ye tare ye phool, chamkte he khilte he,
Ab me inse koi imtehan nhi leta.
Ye mere asma ke he mere bagiche ke he,
Ye mere he.

Ridaa:  cloak put on by women when going out.

#word #urdu #line #dost #wordoftheday #urdupoetry

Sunday, 5 August 2018

Kya chaloge tum

Me us ufaq tak jata hu
Kya chaloge tum

Jab kabhi ye dill samandar hota he
Jab kabhi ye dill befikar hota he
me us ufaq jata hu
Kuch saval puchne
Kuch jawab janne
Kya chaloge tum

Ghanto wha rhta hu
Hawao ke bhag me
Pani ki parchai me
Apni ruh se milne
Mann ko halka karne
Kya chaloge tum

Wo ufaq si ek jagha he mere is jahan me
Me jata hu us kinare kya chaloge tum.


Ufaq : horizon