Sunday, 7 January 2018

Zindagi-e-dastan

dill ko ek surag he, marham bhi lagta he
zinadagi kutharti he or waqt marham lagata he
me zindagi se ladta hu
kabhi me uspe hasta hu
kabhi wo mujhpe hasti he
jane kon qaasid he jo
us munsif ka esa fesla ata he
shaad naa-shaad ke tarazu se
zindagi ki uthal-puthal hoti he
me chalta hu, us raste
koi mod koi basera
rahi ko fir bulata he

qaasid = messenger
shaad = happy
munsif = judge