Thursday, 20 April 2017

Dear Zindagi

kab hogi dosti zindagi se
jo ruthna or manana laga rhta he
kabhi uska mujhe or mera usse
ye nata bana rhta he
uske har din alag rang hote he
wohi mere safar ke rang sajati he
hum dono ki ye yaari bhi atrangi he
jo wo ruthe to kuch na sahi lagta he
jo me muskurau to wo bhi ek sajri subha ban jati he
zindagi bhar ki ye dosti he
kabhi wo hath badati he
kabhi me uska hath tham leta hu
or yuhi ye dosti ho jati he
Ek esi khwaish panno pe likh du

zindagi meri panno pe likh du
 

bade sundar alfazo se saja karke

ghere chupe razz me auda karke

zuba se bayan na ho , me wo likh du

Ek esi khawaish me panno pe likh du

zindagi meri panno pe likh du
Shauk bhar jina, maja he zindagi 

shauk bhar jina, saja he zindagi

apni sharto pe,parwah na saja ki
 

me to albela hoke chala hu

shyyd isi ka nam he zindagi
koi kitab ode ye zindagi chal rhi

har umr khubsurat kahani, pano me badal rh

na jane ane wale harfo ki baate

ab tak badi dillchasp lag rhi

koi kitab ode ye zindagi meri kahani likh rhi

It was when

Changes are hard
it was, when the way gets apart
never will be same, from now on
never will be same, the sweet home
in new journey, memories and meet
a old village, where occasionally will visit
all of those habbit, empty will be a place
that was your presence and i was worried less
Changes are hard but i will change
it was from, the way we gets apart
never ever from now, will be same

Phir muskura lu

muskurana bhi zindagi se sikha he

gum chupane ka tarika he


jitni bhi ye sari khushiya he
 

in khushiyo me gum ki sogate he
 

in sogato ko le ke age baad jate he
 

bádal kar khud ko dheere dheere

phir zindagi se dosti karna sikha he
 

muskurana bhi zindagi se sikha he