Monday, 13 February 2017

taro se khe dena

taro se khe dena
bin bole sun lenge
jab akele dikho, to unko dekh lena
baato se nhi, wo tim tima kr bol lenge
dhur he par pass honge
jo sath rhte he us akash me
bs ankho se ek bar dekh lena
bin bole wo baat krnge
mann ka bhi sab bol dena
taro se khe dena

Each friend is a star of our sky shining for us
ghalib tera rasta shokiyan he
hum roz teri adakari kiya krte he
shyd ye rago me basti he ab hamare bhi
ki Urdu ki chhaal dale
do baat kiya karte he
un rango ki bahar ayi he
jinse ab tak na mila tha
zindagi-e-mehr kuch layi he
mausam me khile naye phool or kate he
zamiin-e-gulposh pe kadmo ko bada lu
ye sajri subha aus ke moti me nahi he
yuh andheri raato me tare hote he
jese andhere me bhi ujale kai sare hote he
koi tute tare se dua jarur karna
ye farishte upar wale ke qaasid hote he he
din ka na hua wo raat ko ata he
jab gubar-e-dahr ka shor neend ke aaghosh me tham jata he
tab koi khawab koi khayal jo
din ka na hua wo raat ko ata he


Gubaar-e-dahr :ग़ुबार-ए-दहर - cloud of dust of world
hum na us raat ke hue
hum na us subha ke hue
jis ka tha intzar, wo waqt
humari fir ek mulakat hui
us pal fir hum
na us raat ke hue
na us subha ke hue
khoye unki nighao me kuch ese
neende sari uda kr bhi
us pal ka kwab dekhte rhe