Wednesday, 18 January 2017

me koi raat sa bhi ban jau to,
wo tare ate he sath jagmagane ko
wo subha to aksar ek naya din lati he
par sath wahi tare he, me jab koi raat ban jau
the na wo amir hum jo mange na apna harjana, ek waqt baad
hamne bhi un se sikha apni haya ko bhul jana
wo jo krte he hum bhi kar gye
besharmi se apna hak jatana

Sunday, 8 January 2017

Old wine

Shor un nagmo ka ho
ki mausam kuch esa he
wo kuch Gaa de hum kuch sun le
ye sard hawa bhi sun le
dhup na sahi par labzo ki garmahat ho
shor un nagmo ka phir ho
pehlu me ek mehfil saze
gosh me bs dhun ho
need me soye din ka dhua utar jaye
or madhoshi in nagmo se ho
bekabu phir se dill ho
shor un nagmo ka, phir ho


Sunday, 1 January 2017

saal-e-nau

varaq-varaq yuh badal rha
mann pe chadi bachkani khal khuter nikhar rha

ye tuluua he ek umr 'zawani' ka
ki ab me naye mod ko chal rha
kuch ab naye raaz likhe jayenge

kuch nayi yaado ke panne sajayenge

ki is anjan safar ke naye panne ka
waps naye jorr se agam ho rha

 

#newyear #welcome #keepSmiling

 

tuluu.a
तुलूअ' : a rising (as of the Sun, Moon or stars)

varaq-varaq
वरक़-वरक़ : page after page