Sunday, 11 May 2025

maa

maa aap-ne mujhe janam diya
anmol ye sukh diya
sare dard ko sehkar
app-ne ye jeewan diya
loriya ga kar
pallne me jhullakr
apne kandhe pe sulakar
raat raat jagkr
app-ne mujhe yu bada kiya
mujhko sajaya
mujhko sikhaya
phla shabd wo
phla kadam wo
khudne sikha
mere liye sikha
anjani bhasha ho
ya koi anjana sa khel
taki me banu
taki me badu
apni mamta ke achal me rakhkar
ye duniya dikhai
aapki parchai mene hardam pai
na kuch pucha
na kuch tola
bin bole aap-ne sab he diya
phli garm roti wo
apne hise ki icecream wo
apne hath jalake
inko kathor banake
jane kaise
meri khushiyo ke liye
ye sab karpai
ek dost se badkar aap ho
sabse pyari aap ho
bin bole samjh jati ho
mere mann ko samjh jati ho
ek mushkuraht se
apne sare gum ko chupaya
lakh asuo ko dabakar
khushiyo se guldasta(faimly) sajaya
apke bol sare aj mujhe yaad ate
dhur hu apse, wo din yaad ate
apke hato ki recipe
apke achal ki wo neend
apki wo fikr wali daat
apki dekhbal me dubi raat
apka yu mera nam bulana
apka wo pariksha me jaldi uthana
apke wo sare nushke
apke wo sare bol
mujhko wo pal yaad ate
mujhe maf karna
kai galti ki he mene
baya nhi kar sakta
par parwah apki ki he
khe nhi sakta ye
mana apko bhagwan he
is man ke mandir me murat apki he
us khuda se mafi mangunga
uski jagha apko di he

Saturday, 6 October 2018

A tale i wrote under sky

Someone with that weirdness has not open my heart
She came and sit by my side
I was in a garden under a evening redish sky
quite for that moment.
She was a breaker
who shun glass from her voice
someone who open my heart with her weiredness
Someone with that weirdness has not open my heart
This was a tale i wrote under a sky
Nowhere nearby, a peaceful sky.

Sunday, 12 August 2018

Chidya ke pankh the

Chidya ke pankh the
Har chidya ke pankh the
Wo bhi us angan se dekhti thi asama ko
Ghar ke angan se us asma ko
Use bhi udna sikhaya
Use bhi chechana sikhaya
Wo pankho ko felane lagi
Angan ki deeware tab unhe choti lagi
Dehliz se bhar janne ko usne zid kari
Jungle tha ye sansar
Fikar wali soch mandrane lagi
Use bhi udna sikhaya tha
Pankho ki azmaish wo mangne lagi
Papa ki ladli sapne bunne lagi
Dehliz se bahar udne lagi
Jungle tha ye sansar
Bhediyo ki awaz gunzne lagi
Pankho ki azmaish wo karne lagi
Mausam ki rut badalne lagi
Ek shehr ki sima uske pankho ko unhe choti lagi
Use bhi udna sikhaya tha
Angan se asma firse wo dekhne lagi
Wo ab apni khuli ankho se sapne bunn rhi thi
Ek bar fir zid ab usne kari
Udna use sikhaya tha
Wo ab apne pankho se bhi ye saval puchne lagi

Use udna kyo sikhaya?

Jungle tha ye sansar
Wohi bhediyo ki gunj ab or joro se gunjne lagi
Fikar fir madrane lagi
Ek din fir use bula liya us angan
Jis angan se usko asma dikhaya tha
Jis angan se usko pankho ka matlb samjhaya tha
Ek din fir use bula liya us angan
Us angan uske pankho ko jala diya

Chidya ke pankh the, asma khula
Fir uske hi pankho ko kyo kat diya
Usko bhi udna sikhaya tha
Fir usko hi kyo pinjare me rhne ko bula liya

Wednesday, 8 August 2018

Ye asma bhi badlo ki ridaa odle,
Ye tare ye phool, chamkte he khilte he,
Ab me inse koi imtehan nhi leta.
Ye mere asma ke he mere bagiche ke he,
Ye mere he.

Ridaa:  cloak put on by women when going out.

#word #urdu #line #dost #wordoftheday #urdupoetry

Sunday, 5 August 2018

Kya chaloge tum

Me us ufaq tak jata hu
Kya chaloge tum

Jab kabhi ye dill samandar hota he
Jab kabhi ye dill befikar hota he
me us ufaq jata hu
Kuch saval puchne
Kuch jawab janne
Kya chaloge tum

Ghanto wha rhta hu
Hawao ke bhag me
Pani ki parchai me
Apni ruh se milne
Mann ko halka karne
Kya chaloge tum

Wo ufaq si ek jagha he mere is jahan me
Me jata hu us kinare kya chaloge tum.


Ufaq : horizon 

Friday, 27 July 2018

Guncha wo mogre ka

Guncha wo mogre ka maheek udata he
Ek dali me bandha lipta tere kesuo me
Guncha wo mogre ka maheek udata he

Wo surma teri ankho pe chad kar
Apne rang ka khubsurat ban jata he
Bindya tere mathe par
Tera chehra chand sa jhalak ata he

Hawaye teri bali ko chukar chali jati he
Kisko pata wo tere chere ko deewani ho, ati he
Tere hoto pe hasi ko bs dekha he
Nazro ko roka na jata he

Kab teri baato ka deewana bhi hoga me
Abhi to dhur bhethe nazro me duba rhta hu
Tu ek sapna he
Tujhse milne se phle nind tut jati he

Saturday, 21 July 2018

From those pages in the night I write

I owe some broken words
I owe some lines
I owe the place inside me, where all the unspoken I hide.
But most importantly, I owe to myself the choice I tried.
I picked them up and showed them my insight.
I need to burn the pages that I willing write,
From those pages in the night I write.

Friday, 11 May 2018

Posheda Sitare

posheda sitare he hamare bhi
kahi dhur se sab dekha karte he
barsaha-baras mile the hum kahi
or fir ese badra cha gye mere asma me
gar do baate hoti to
uns ki kadiya hoti to
wo aniis ki sharar to hoti mere asma me shara : spark
aniis: friend
uns : friendship, affection
barsaha-baras : many year
posheda : hidden

Pank ka Pankaj

khil rhe the kamal wahan,
pank ke taal me.
or yun wo lalchate pag ruk gye
pankaj ki aas me.
wo pank ka hi pankaj he, jaan lo
kichad to he bas tumhari aankh me
khil rhe the kamal wahan
pank ke taal me,
or yun wo lalchate pag ruk gye.
पंक :1. कीचड़; गारा 2. तलछट 3. गंदा करने वाली कोई चीज़
pank + aj. panka=mud, ja=born

Saturday, 7 April 2018

A Eclipse can be as beautiful as the kiss of sun and moon. A blood can be as pure as the Divine in human.

The way we look, we define and yes it can change